October 25, 2013

Collection of Shayeri on Dosti

dosti shayeri
Shayeri - Dosti

Guzre huye kal ki yaad aati hai...
Kuch lamho se aankhein bhar aati hai...
Woh rangeen shaam nirali doob jaati hai....
Jab aap jaise DOST ki yaad aati hai...



Sabne Kaha Dosti Ek Dard Hai,
Hamne Kaha Dard Kabul Hai!
Sabne Kaha Dard Ke Saath Ji Na Paoge,
Hamne Kaha Teri Dosti Ke Saath Marna Kabul Hai .



Hum Agar Apko Msg Nahi Kar Pate To Aisa Nahi Hai
Ki Ap Hume Yad Nahi Aate Mana Ki Sab Rishte,
Nibhaye Nahi Jate Par Jo Bas Jate Hai Dil Main Bulaye Nahi Jate .



Dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka
Dosti naam hai sada muskurany ka
Ye koi pal bhar ki pehchan nahi
Dosti naam hai sada sath nibhana ka.



Na Chand Ki Tarah,Na suraj Ki Tarah,
Na Aasma Ki Tarah,Na sitaro Ki Tarah,
Koi Dost Mujhe Mile To Bus Aap Ki Tarah .



Lab khulte hai bandh ho jaate hai,
Sacche dost milte hai bichad jaate hai,
Par jab woh yaad aate hai,
Hasti aankhon se bhi aansoo nikal aate hai.






No comments:

Post a Comment